aao sunau ek vidyarti ki dastan, maa bole beta padh le tujhe tere baap ka waasta raasta naa dikhe koi bas padh padh pad sabka yeh hi raag repeat par tuition ho ya toilet seat pe mera wajan 50 kitab 70 ae bhagwan meri peeth pe mujhe maar ke pooche baap beta ji kyun padhte nahi aap aisa kaun sa he sharap jo uthate hi kitaab so jaate aap phir ek din samajh main aayi mujhe sabki baat
aur padhne laga main din raat 12th main science stream se laaya tha main 88% lekin ghanta nahi khule the mere liye kisi achce college ke gate unhe chahiye the aise candidates jinke marks ho above 96% yeh hi soch soch ke i was so tense ki mujhe nahi mila admission just because of f@cking 6 percentage
ab aage mujhe kuch aur samajh nahi aa raha tha kya karu kaha jaau kaise career banau saala koi dalla nahi samjha raha tha ajeeb sa lagne laga tha mujhe du ka education system cut off 1-2-3 maain tha bas 2.5% ka difference kuch students achchi percentage laane li race main khud daudte hain aur kuch family ke pressure se jabardasti iss race main daudaye jaate hain aur iss achchi percentage ki kash-ma-kash main
ik student ki zindagi ke l@de lag jaate hain koi is race main apne favorite college main admission ke liye bhaag raha hai doctor ya engineer banne ke liye bhagwaan se dua kam aur bhen#$@! bheek zyada maang raha hai ummedo se badh kar mushkilo se lad kar khushiyo ko dafan kar kamyabi milegi kahan jaa kar ummedo se badh kar
mushkilo se lad kar mujhe aisa lagne laga tha ki meri khushiya kahi kho rahi hai aur meri behen aa ke mujhse boli bhaiyya aapke admission na hone ki wajah se maa ro rahi hai aur pichle do din se bina kuch khaye so rahi hai cut off list ko samajh ke finish line kuch jeet jaate hai aur kuch haar kar samajhte hain
khatam ho gayi hai life lekin hume samajhna hoga bhai ki agar nahi hua admission toh chotta mat kar mann yehi nahi hai teri zindagi ka anth iss duniya main success ke aur bhi hain raha zara gor kar duniya ki chod aur khud ko jaga yaad rakh yeh samaaj sirf karta hai vyaapar yeh saale rishtedaar hi karte hain peeth peeche waar
samaaj ki chintaa karna de chod kar chinta apne parivaar ki oh g@@&^ yeh bas paiso ke liye hai tere saath priya aur aarti ab toh sunna chod de hum nahi reh sakte tere bin aur s@le sunna shuru kar de hum honge kamyaab ek din